KYA KAROON?
Upne dil ke
sagar main khwahishon ki naav dubne se kaise bachaun?
Upne dil mei
lave se bhi garam sakt par naram, kabhi na bujhne wali aag kaise jalaun?
Upne aap ko
andhere ki kaal kothri chodkar rishini ke mehlon mei rehne ko kaise samjhaun?
Upni ruh ko
kabhi na khatm hne wale jasbe se kaise milaun?
Aur sab kuch
chodke bephikra paer ke patton ke tarah kaise lehraun?
Ab kya
karoon, kaise karoon mai kya bataun?
Kabhi na
bujhne wali pyas kaise bujhaun?
Matlabi
duniya ke matlabi logon ki baaton se zakhmil dil par marham kaise lagaun?
Aur dukhi
man par, zakhmi tan par khushi ka libaz kaise pehnaun?
Ab kya
karoon, kaise karoon mai kya bataun?
Pighle
aashaon par aarmanon ki baraf kaise jamaun?
Bhikhe dil
ko zindagi ki mithas kaise chakhaun?
Bina kisi ki
parwah kie, bine dare man mei jo aae zor zor se kaise chilaaon?
Ab kya
karoon, kaise karoon mai kya bataun?
Bina kahe
kisi pe apna hak kaise jataun?
Tapte suraj
se sahara deti andheri raat aur apne man ki gehraiyon mai chupi hui baat ko
kaise failaun?
Ab kya
karoon, kaise karoon mai kya bataun?...........