Friday 26 July 2013

KYA KAROON?
Upne dil ke sagar main khwahishon ki naav dubne se kaise bachaun?
Upne dil mei lave se bhi garam sakt par naram, kabhi na bujhne wali aag kaise jalaun?
Upne aap ko andhere ki kaal kothri chodkar rishini ke mehlon mei rehne ko kaise samjhaun?
Upni ruh ko kabhi na khatm hne wale jasbe se kaise milaun?
Aur sab kuch chodke bephikra paer ke patton ke tarah kaise lehraun?

Ab kya karoon, kaise karoon mai kya bataun?

Kabhi na bujhne wali pyas kaise bujhaun?
Matlabi duniya ke matlabi logon ki baaton se zakhmil dil par marham kaise lagaun?
Aur dukhi man par, zakhmi tan par khushi ka libaz kaise pehnaun?

Ab kya karoon, kaise karoon mai kya bataun?

Pighle aashaon par aarmanon ki baraf kaise jamaun?
Bhikhe dil ko zindagi ki mithas kaise chakhaun?
Bina kisi ki parwah kie, bine dare man mei jo aae zor zor se kaise chilaaon?

Ab kya karoon, kaise karoon mai kya bataun?

Bina kahe kisi pe apna hak kaise jataun?
Tapte suraj se sahara deti andheri raat aur apne man ki gehraiyon mai chupi hui baat ko kaise failaun?

Ab kya karoon, kaise karoon mai kya bataun?...........