MAI KAUN HOON?
Zindagi ke
har or par apne aap se puchta hun ki
“Mai kaun
hoon”?
Doston ke
beech unka yaar ya kisi ke lie uska pyar...
Ya phir ek
naadan pareshan bacha
Jo zindagi
ke zor ghatav mai ho kacha....
Kai chehron
ke beech ek chehrahun
Logon ke
beech hokar bhi alag dikhne ki chah rakhne wala hun...
Mere chehre
ke peeche jo hai,uski khabar mujhe nahi hai
Par man
kehta hai woh yahi kahin hai....
Usi ne mere
jasbaton ko pakda hua hai,
Meri pehchan
ko jakda hua hai...
Par mai kaun
hoon?
Zindagi ke
pareshaniyon se ladne wala ya unse darne wala...
Khud ki
pehchan nahi mil rahi hai,
Andhere mai
roshini nahi mil rahi hai....
Mai kaun
hoon?
Iska jawab
dhundte dhundte apne aap mai itna kho gaya hun,
Ki mano
asliyat mai so gaya hun...
Jab se ye
sawal man mai utha hai mano zindagi tham si gayi hai,
Sare khwab,
sari aashayein mano jam se gaye hain....
Ab to man ki
gehraiyon mai jana nahi chahta,
Par is sawal
ka jawab jane bina chain nahhi aata....
Aakahir mai
kaun hoon??
No comments:
Post a Comment