We all have habits, "aadat" is what we call them in HINDI. Basically this poem is the reflection of my own habits!! Just remember no habit is is disgusting or bad for that matter, until it forces you to be a 'person' you aren't , until it forces you into disguise!!
Hmm.... Enough of this philosophical crap ;) Here's my poem:
Hmm.... Enough of this philosophical crap ;) Here's my poem:
AADAT
Aadat achi
ho ya buri zaroori hoti hai
Aadhi
adhoori zindagi ko ye puri karti hai....
Jine ka
maksad deti hai kisi cheez ki aadat
Jina dushwar
bhi karti hai kisi cheez ki aadat
Jaan leti
hai to deti bhi hai ye aadat.....
Kisi ko
khane ki to kisi ko khilane ki
Kisi ko maarne
ki to kisi ko jhelne ki
Kisi ko roshini
ki to kisi ko andhere ki
Kisi ko
dusro ki to kisi ko khud ki hoti hai.....
Khushi sath
chor deti hai, izzat sath chor deti hai
Upne sath
chor dete hain, sapne sath chor dete hain
Par kambakat
ye aadat sath nhi chorti
Kabhi bhi
humse upna rukh nhi morti.....
Buri aadaton
se bachkar raha nhi jata aur achi aadaton ko upnaya nahi jata
Ab to na
jane kin kin aadaton mei khulega upna khata.....
Zindagi ke
tarazoo mei aadaton ko kabhi tol ke nahi dekha
Achi aadaton
ka path kabhi ghol ke nahi dekha
Tabhi to har
kadam par duniya ne mujhpar pathar pheka...
Ab to bas
itna janta hun ki bina aadaton ke mai, mai nahi,meri zindagi, zindagi nahi aur
ye duniya, duniya nahi....
Aadat achi
ho ya buri jine ka ehsaas dilati hai
Khushiyan ho
ya gam dono ghot ghot kar pilati hai...........