MERI ZINDAGI
Meri zindagi
ek kitab ki tarah hai..
Padhte hi
koi bhi samajh jata hai.
Jeena chahta
hun khul ke ise..
Par koi na
koi cheez ise kas ke pakde baithi hai..
Kabhi dooston
ke beech to kabhi padhai ke irdh girdh bas ghoomti rehti hai..
Zindagi kehti
hai “aa kho ja mujh mei” par mai use taal deta hun ye kehke ki "abi to tu meri
puri tarah hui bhi nahi hai, doosro ke lie jee raha hun abi to mai tujhe”...
Ye sunke wo
hash pdhti hai aur tarrakoh ke sath puchti hai “to upne lie kab jeeaga mujhe”..
Ye sawal
sunke mai hairran hota hun pareshan hota hun aur phir sochta hun...
“arey sahi
to keh rhi hai ye, doosron ke beech na jaane khud ko kab bhul gaya main”
Ye sochkar
roone lagta hun ki achanak naa jane kha se wo kehti hai “to ab jee le na
muje”...
Meri aason
pochti hai, muje dilasa deti hai, aesi hai meri zindagi..
Mai bhi use
bade josh ke sath kehta hun ki “tu aaj se meri hai; jeena tujh mai hai , marna
tujh mai hai: hasna tujh mai hai ,rona tujh mai hai: gaana tujh mai hai
gungunana tujh mai hai”....
Ab na jane
ye josh Kab tak rahe par itna to yakeen hai muje ki jabhi mai ladhkharaun, jabhi
mai khin atkun to wo muje sambhal legi..
Akhir yahi
to hai meri zindagi...................
No comments:
Post a Comment