Monday 25 February 2013

Another Poem From Amit's book! ;)

We all have habits, "aadat" is what we call them in HINDI. Basically this poem is the reflection of my own habits!! Just remember no habit is is disgusting or bad for that matter, until it forces you to be a 'person' you  aren't , until it forces you into disguise!!
Hmm.... Enough of this philosophical crap ;) Here's my poem:



AADAT
Aadat achi ho ya buri zaroori hoti hai
Aadhi adhoori zindagi ko ye puri karti hai....
Jine ka maksad deti hai kisi cheez ki aadat
Jina dushwar bhi karti hai kisi cheez ki aadat
Jaan leti hai to deti bhi hai ye aadat.....
Kisi ko khane ki to kisi ko khilane ki
Kisi ko maarne ki to kisi ko jhelne ki
Kisi ko roshini ki to kisi ko andhere ki
Kisi ko dusro ki to kisi ko khud ki hoti hai.....
Khushi sath chor deti hai, izzat sath chor deti hai
Upne sath chor dete hain, sapne sath chor dete hain
Par kambakat ye aadat sath nhi chorti
Kabhi bhi humse upna rukh nhi morti.....
Buri aadaton se bachkar raha nhi jata aur achi aadaton ko upnaya nahi jata
Ab to na jane kin kin aadaton mei khulega upna khata.....
Zindagi ke tarazoo mei aadaton ko kabhi tol ke nahi dekha
Achi aadaton ka path kabhi ghol ke nahi dekha
Tabhi to har kadam par duniya ne mujhpar pathar pheka...
Ab to bas itna janta hun ki bina aadaton ke mai, mai nahi,meri zindagi, zindagi nahi aur ye duniya, duniya nahi....

Aadat achi ho ya buri jine ka ehsaas dilati hai
Khushiyan ho ya gam dono ghot ghot kar pilati hai...........


4 comments:

  1. Bhai awesome!
    Keep up the good work!

    ReplyDelete
  2. insan ke chale jaane ke baad
    uski yaad reh jaati hain
    uska saath bithaye pal yaad reh jaate hain
    magr
    jo aadat uss insan ki lag jaati hain
    ussa kaisa choda

    insan ko bhulaya toh jaa sakta hain
    uski yaadein bhi bhulayi jaa sakti hain
    magr uski aadat
    kaisa chodain

    ReplyDelete